Urdu Magazine – Mehndi Designs – Arabic Mehndi Designs – Urdu Poetry – Beauty Tips – Urdu Jokes

Posts Tagged ‘Shayari

chere main ne kabhi lab-o-rukhsar ke qisse
gahe gul-o-bulbul ki hikaayat ko nikhaaraa

gahe kisi shahazaade ke afsane sunaaye
gahe kyaa duniyaa-e-paristaan kaa nazaaraa

main khoyaa rahaa jin-o-malaik ke jahaan main
har lahajaa agarche mujhe aadam ne pukaaraa

barason yon hi diljami-e-aurang ki khaatir
sau phuul khilaaye kabhi sau zakhm kharide

main likhataa rahaa hijv bagaavat manshon ki
main parhataa rahaa qasrnashinon ke qaside

ubharaa bhi agar dil main koi jazabaa-e-sarkash
is khauf se chup thaa ke koi honTh na si de

lekin ye tilismaat bhi taa der na rah paaye
aakhir mai-o-minaa-o-daf-o-chang bhi TuutTe

yon dast-o-garebaan huaa insan-o-khudaaband
nakhachir to tarape qafas-e-rang bhi TuuTe

is kashmakash-e-zarraa-o-anjum ki fizaa main
kashkol to kyaa afsar-o-aurang bhi TuuTe

main dekh rahaa thaa mere yaaron ne barhakar
qaatil ko pukaaraa kabhi maqtal ko sadaa di

gahe rasn-o-daar ke aagosh main jhuule
gahe haram-o-dair ki buniyaad hilaa di

jis aag se bharpuur thaa maahaul kaa sinaa
wo aag mere lauh-o-qalam ko bhi pilaa di

aur aaj shikastaa huaa har tauq-e-talaai
ab fan meraa darbaar ki jagir nahin hai

ab meraa hunar hai mere jamahuur ki daulat
ab meraa junon kaif-e-taazir nahin hai

ab dil pe jo guzaregi be-Tok kahongaa
ab mere qalam main koi zanjir nahin hai

Jab Saher ho hansalo hum ko,
Jab Andhera ho Jilalo hum ko,
Hum Haqiqat hain Nazar aate hain,
Daastanoun mein Chupalo hum ko,

Din na pa jaye kahin Shab ka Raaz,
Subah se pahele Jagalo hum ko,
Door ho jayeinge Suraj ki tarha,
Hum na kahte mat Uch,chalo hum ko,

Hum Zamane ke sataye hain bohat,
Apne Seene se lagalo hum ko,
Waqt ke hount hamein Chu lenge,
In ke Bool hain Ga lo hum ko.

Itna tuta hun ke phir na jud paounga.
Ab agar Hawa bhi Chuwegi tu Bikhar jaounga”.
Alfaaz ke pardaoun mein karo is ka Yakheen,
Leti hai Saans nazm-e-Shayer ki zameen,

Ahista hi Gungunao mere Ashaar,
Daar hai na Kuchal jayein mere Kah

Yaadein Jo Na Aati,
Yun Khamoshi Chupke Chupke..
To mere ghar ki Raunaq Hoti
Teri Mehfil Se Bhi Zyada..

Khushiyon Par Fizaon Ka Pehra Hai,
Na Jane Kis Umeed Pe Dil Thera Hai,
Teri Ankhon Se Jhalakte Dard Ki Kasam,
Yeh Dosti Ka Ristha Pyar se Gehra hai.

Zindagi Taj Mahal Ho Jaye,
Chandani Khil Ke Kamal Ho Jaye,
Tum Jo Ban Jaao Dost,
Mere Dil Ki Dhadkan Bhi Ek Ghazal Ho Jaye.

Yaad Karne ki Koi Cheez Chahiye,
Aap Nahi To Aapki Taswir Chaiye.
Par Taswir Hamaara Dil Behla Na Sakegi,
Kyonki Yeh Aapki Tarah Muskura Na Sakegi.

Suraj Paas Ho Na Ho Roshni Aaspaas Rehti Hai,
Chand Pass Ho Na Ho Chandni Aaspaas Rehti Hai,
Aur Aap Paas Ho Na Ho,
Apki Yaad Hamesha Sath Rehti Hai.

Unki galiyoon se jab guzre to manzar ajeeb tha,
Dard tha magar wo dil ke kareeb tha,
Jise hum dhundhte the apni hathon ki lakiroon mein
Wo kisi doosre ki kismat, kisi aur ka naseeb tha.

Khuda kare ki pyar me kisi ka dil na toote,
Jaise rutha mera sanam kisi aur ka na ruthe,
Rota hai dil aur toot jate hain sapne,
Ankhon ke aansoo bhi nahin hote hain apne…

Kaash wo nagme humein sunaye na hote,
Aaj unko sunkar ye aansu na aaye hote,
Agar is tarah bhul jaana hi tha,
To itni gehrai se dil mein samaaye na hote..

Neend aankhon main nahin, khwaab kho gaye,
Tanha hi the, kuch aur tere bin hum ho gaye,
Dil kuch tadap utha, zuban bhi ladkhadai,
Teri yaad main do aansu chupke se beh gaye.

Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai,
Inkar karne par chahat ka ikraar kyon hai,
Use pana nahi meri taqdeer mein shayad,
Phir har mod pe usi ka intezar kyon hai.

Chaho Toh Dilse Humko Mita Dena,
Chaho To Humko Bhula Dena.
Par Yeh Waada Karo Ki Aaye Jo Kabhi
Yaad Hamari Rona Mat, Sirf Muskura Dena.

Sookhe Patte Se Pyar Kar Lenge Hum,
Tujh Par Eitbaar Kar Lenge.
Ek Baar Keh Do Hum Tumhare Hain,
Hum Zindagi Bhar Intezaar Kar Lenge.

Kisi Na Kisi Pe Kisiko Aitbar Ho Jata Hai,
Ajnabi Koi Shaks Yaar Ho Jata Hai,
Khubiyo Se Nahi Hoti Mohabbat Sada,
Khamiyo Se Bhi Aksar Pyar Ho Jata Hai.

Teri Yadon Se Pyar Karte Hai,
Sau Janam Bhi Nisaar Karte Hai,
Kabhi Fursat Mile To Aakar Milna,
Hum Aaj Bhi Tera Intezaar Karte Hai


About Urdu Magazine

Urdu Magazine Blog is one of the favorite magazine in India and Pakistan, In this Magazine you can find arabic mehndi designs, bridal mehndi designs, mehndi designs, urdu poetry, faraz poetry, wasi shah poetry, Urdu Recipes, Pakistani / Indian Recipies, Urdu Jokes, Women Fashion, Jewelry, Muslims Babies Names, Indian - Pakistan Mehndi / Hina Designs and much more you wants.

Banners





Arabic Mehndi Design

make-money-from-your-blog-o

seo-tips-and-tricks

Watch Live TV Channels

Watch Live TV Channels

Love Heart Wallpapers Beautiful Stylish and Creative High Resolution Wallpapers Extremely Creative Photos Hilarious Print Advertisement Free PSD File Business Card Designs Creative Poster Typography Design jQuery Plugins Illustration Art Logo Designs Free fonts Vector Graphics Movie Posters Free Icons