Urdu Magazine – Mehndi Designs – Arabic Mehndi Designs – Urdu Poetry – Beauty Tips – Urdu Jokes

Posts Tagged ‘Ahmed Faraz Poetry

Poetry / Urdu Poetry Categories

Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Alama Iqbal
Mirza Ghalib
Wasi Shah
Qateel Shafai
Perveen Shakir
Faiz Ahmed Faiz
Anniversary Poetry
Birthday Poetry
Diwali Poetry
Eid Poetry
Friendship Poetry
Funny Poetry
Love Poetry
New Year Poetry
Poems Poetry
Punjabi Poetry
Romantic Poetry
Sardar Poetry

chere main ne kabhi lab-o-rukhsar ke qisse
gahe gul-o-bulbul ki hikaayat ko nikhaaraa

gahe kisi shahazaade ke afsane sunaaye
gahe kyaa duniyaa-e-paristaan kaa nazaaraa

main khoyaa rahaa jin-o-malaik ke jahaan main
har lahajaa agarche mujhe aadam ne pukaaraa

barason yon hi diljami-e-aurang ki khaatir
sau phuul khilaaye kabhi sau zakhm kharide

main likhataa rahaa hijv bagaavat manshon ki
main parhataa rahaa qasrnashinon ke qaside

ubharaa bhi agar dil main koi jazabaa-e-sarkash
is khauf se chup thaa ke koi honTh na si de

lekin ye tilismaat bhi taa der na rah paaye
aakhir mai-o-minaa-o-daf-o-chang bhi TuutTe

yon dast-o-garebaan huaa insan-o-khudaaband
nakhachir to tarape qafas-e-rang bhi TuuTe

is kashmakash-e-zarraa-o-anjum ki fizaa main
kashkol to kyaa afsar-o-aurang bhi TuuTe

main dekh rahaa thaa mere yaaron ne barhakar
qaatil ko pukaaraa kabhi maqtal ko sadaa di

gahe rasn-o-daar ke aagosh main jhuule
gahe haram-o-dair ki buniyaad hilaa di

jis aag se bharpuur thaa maahaul kaa sinaa
wo aag mere lauh-o-qalam ko bhi pilaa di

aur aaj shikastaa huaa har tauq-e-talaai
ab fan meraa darbaar ki jagir nahin hai

ab meraa hunar hai mere jamahuur ki daulat
ab meraa junon kaif-e-taazir nahin hai

ab dil pe jo guzaregi be-Tok kahongaa
ab mere qalam main koi zanjir nahin hai

JAb Kabhi Dekhu Haath kii Hatheliyo Ko

Toh Khaali Yeh Nazar Aati Hai….

Suni Suni See Lakiro Per….

Kismat Sunati Apni Kahani Hai..

Poochhti hai Fasana Mujhe See hii……

Meri Tenha Zindgani Kaa…..

Hotho Sey Toh Has Deyta Hu….

Per Aankhey Such Bahati Hai…….

Kabhi Yu heee nikal padta hu..

Tanhaahiyo Key Saath Apni..

Or Saath Hii Khamoshiyaa Bhii

Perchhaaiyo Mey Nazar Aati Hai..

Her Pal BeyBus Hai….

Entzaar Mey Jiskey….

Woh Toh Ab Tak …Anjaan ;Hii Hai..

Kii Entzaar Mey Kisi Key..

Jaan Aaj Bhii Kisi Kii Jaati Hai…

Umeedo Sey Naata Toh Bahut

Pehley Hii Chhut Chuka Thaa…

Dhuli Dhoop Mey Dekhta Thaa

Jo Chehra Kabhi ……….

Ab Toh Sapne Mey Maayushi Hiii Nazar Aati Hai….

Zindgi to apne hi qadmon per chalti hai faraz
doosron k kandhon per to janazey uttha kertey hain…..

** Barish **
In Barishon Se Dosti achi nahi Fraz
Kacha Tera Maqaan Hai Kuch To Khayal Kar

** Naakami **
Apni naakami ka ik yeh bhi sabeb hy Faraz
Cheez jo maanghty hain sub sy juda maanghty hain

** Khali Hath **
Khalee Hathoon ko Kabi ghor sy daikha hy Faraz
Kis Tarah Loog Lakeeroun sy Nikal jaty hain.

Ab na wo mai hoon na tu hai na wo mazi hai faraz,
Jaisay do shaks tamanna ke sirabo mai miley.

Tum to takaluf ko bhi ikhlaas samajhtay ho faraz,
Dost hota nahi har hath milaney wala.

ab us ke shehr main thehrain ke kooch kar jaien
faraz aao sitaray saffar ke dekhtay hain

Woh tu iss soch mein sahil pay khara doob gia
Kitna gehra teray darya ka kinara hoga….

Woh mera ho k bhi mehroom raha mujh say Faraz
Kia koi meri tarha jeet k hara hoga….

Soraj say dosti pay jinhain naz tha Faraz
Aj woh b zair e saya e deewar aa gay!

khali hathon ko kabhi ghour sey dekha hai faraz
kis tarah log lakiron seu nikal jatey hain

Faraz ab koi soda koi janoon b nahi,
Mager karar se kat rahy hun din, yun b nahi,
Lab-o-dehan b mila, guftagu ka fun b mila,
Mager jo dil pe guzerti he keh sakun b nahi!!!

Zikr uska hi sahi bazm mein baithe raho FARAZ
Dard jaisa bhi ho haath na dil pe rakhna

** Wida-e-yar **
Wida-e-yar ka manzar faraz yad nahin
bas ik dobta soraj nazar main raha

RAAT BARI MUSHKIL SE SULAYA HAI KHUD KO MAINE FARAZ!!!
APNI AANKHHON KO ”TERE KHAWAB” KI LALACH DE KAR.

Wo Jis ky Pass rehta tha Dostion ka hajoom
Suna hy Faraz kal raat Ehsas_e_Tanhai sy mar gya…

HuM Tu Aghaz-e-Mohabbat may hi lut gaye Faraz~
Or Loag kahtay hain kah anjam bura hota hay

Jis ki khatir sari sarhadain tor din FArAz
Aj usi nay kah dia zara had main raha karo

Kuch islie bhi tumse mohabbat hai mujh ko Faraz,
Mera to koi nahi hai tumhara to koi ho!!

** my all times fav **
Hum tu mohabbat main bhi tuheed kay qahil hain Faraz
aek he shakhs ko mehboob bana rakha hai

uski wo janay usay pas e wafa tha k na tha
tm faraz apni taraf say tu nibhae jatay

** Is Qadar…**
Is qadar ghafil hun Apnay halat se “Faraz” me,
K logon se suna he pareshan hun me.

Tum mohabbat ko bhi fareb samajhte ho Faraz,
Uski adaa hai jb b milna nigahon ko jhuka k milna!!

wo roz dekhta hai doobte hove suraj ko Faraz,
kaash mai bhi kisi shaam ka manzar hota!!

kyaa ta’ajjub hai ke ham ahl-e-tamannaa ko ‘Faraaz’
vo jo maharuum-e-tamannaa hai.n buraa kahate hai.n

Tum taluk torne ka kahin zikr na kerna Faraz,
Mai logon se keh donga k use fursat nhi milti!!

Bohot mushkil say hath aay thay faraz
janay kahan rakh baitha hon wph lamhaat!

Yaadein Jo Na Aati,
Yun Khamoshi Chupke Chupke..
To mere ghar ki Raunaq Hoti
Teri Mehfil Se Bhi Zyada..

Khushiyon Par Fizaon Ka Pehra Hai,
Na Jane Kis Umeed Pe Dil Thera Hai,
Teri Ankhon Se Jhalakte Dard Ki Kasam,
Yeh Dosti Ka Ristha Pyar se Gehra hai.

Zindagi Taj Mahal Ho Jaye,
Chandani Khil Ke Kamal Ho Jaye,
Tum Jo Ban Jaao Dost,
Mere Dil Ki Dhadkan Bhi Ek Ghazal Ho Jaye.

Yaad Karne ki Koi Cheez Chahiye,
Aap Nahi To Aapki Taswir Chaiye.
Par Taswir Hamaara Dil Behla Na Sakegi,
Kyonki Yeh Aapki Tarah Muskura Na Sakegi.

Suraj Paas Ho Na Ho Roshni Aaspaas Rehti Hai,
Chand Pass Ho Na Ho Chandni Aaspaas Rehti Hai,
Aur Aap Paas Ho Na Ho,
Apki Yaad Hamesha Sath Rehti Hai.

Unki galiyoon se jab guzre to manzar ajeeb tha,
Dard tha magar wo dil ke kareeb tha,
Jise hum dhundhte the apni hathon ki lakiroon mein
Wo kisi doosre ki kismat, kisi aur ka naseeb tha.

Khuda kare ki pyar me kisi ka dil na toote,
Jaise rutha mera sanam kisi aur ka na ruthe,
Rota hai dil aur toot jate hain sapne,
Ankhon ke aansoo bhi nahin hote hain apne…

Kaash wo nagme humein sunaye na hote,
Aaj unko sunkar ye aansu na aaye hote,
Agar is tarah bhul jaana hi tha,
To itni gehrai se dil mein samaaye na hote..

Neend aankhon main nahin, khwaab kho gaye,
Tanha hi the, kuch aur tere bin hum ho gaye,
Dil kuch tadap utha, zuban bhi ladkhadai,
Teri yaad main do aansu chupke se beh gaye.

Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai,
Inkar karne par chahat ka ikraar kyon hai,
Use pana nahi meri taqdeer mein shayad,
Phir har mod pe usi ka intezar kyon hai.

Chaho Toh Dilse Humko Mita Dena,
Chaho To Humko Bhula Dena.
Par Yeh Waada Karo Ki Aaye Jo Kabhi
Yaad Hamari Rona Mat, Sirf Muskura Dena.

Sookhe Patte Se Pyar Kar Lenge Hum,
Tujh Par Eitbaar Kar Lenge.
Ek Baar Keh Do Hum Tumhare Hain,
Hum Zindagi Bhar Intezaar Kar Lenge.

Kisi Na Kisi Pe Kisiko Aitbar Ho Jata Hai,
Ajnabi Koi Shaks Yaar Ho Jata Hai,
Khubiyo Se Nahi Hoti Mohabbat Sada,
Khamiyo Se Bhi Aksar Pyar Ho Jata Hai.

Teri Yadon Se Pyar Karte Hai,
Sau Janam Bhi Nisaar Karte Hai,
Kabhi Fursat Mile To Aakar Milna,
Hum Aaj Bhi Tera Intezaar Karte Hai

*._.*Chal Ab Meri Saans Hi Zamanat Rakh Le To*._.* “Faraz”

*._*Shayed Is Tarha Ban Jaon Mein Tere Aaitbaar K Qabil*._.*

Ek Baar Jee Bhar K Sazaa Q Nahe Daite,

Agar Harf-E-Khata Hoon To Mita Q Nahe Daite,

Sayaa Hoon To Saath Na Rakhne Ki Wajha Kia Hai?

Pathar Hoon To Raaste Se Hata Q Nahe Daite.

 

 

Khuwaab Adhurey Sahi Khuwaab “Pyare” To Hein,

Khuwaab Jhoote Sahe Khuwaab “Sahare” To Hein,

Jaise Taise Kat Hi Jaye Gi Zindagi,

Tum Humare Na Sahe Hum Tumhare To Hein.

 

 

Zamane Bhar Ne Loota Hai Fareeb-E-Dosti De Kar,

Agar Tum Saath Do Mera To Sab Se Dushmani Kar Loon…!!!

Chand par kaali ghata chati toh hogi,
sitarao ko muskurahatt aati toh hogi,
tum laakh chupao dunya se magar,
akele mai tumhe apni shakal pe hasi aati toh hogi….
_______________________________

Hum TANHA hai per dil ko TANHA mat samazhna…
dil mein teri TASVEER laga rakhi hai…
Jab tumhe bhi Tanhayi mehsus ho to yaha chale aana..
Tumhare liye pagal khane se gaadi bhijwa rakhi hai….!!!

_______________________________

tumhari yaad dil se jaane nahi denge
tumhare jaisa dost khone nahi denge
sharafat se SMS bhejte rehna
varna kaan ke niche denge
aur fir rone bhi nahi denge

_______________________________

Bapu ne kaha paise udana chhod do……
Mummy ne kaha dance baar jana chhod do…..
Master ji ne kaha Padhai chhod do…..
Doston ne kaha peena chhod do……
Kahi koi yeh na keh de ki line maarna chhod do…….

_______________________________

Fizao mein tum ho,
Hawao mein tum ho,
Baharo mein tum ho,
Dhop mein tum ho,
Chhaon mein tum ho,
Sach hi suna tha buri atma ka
koi thikana nahi hota.

_______________________________

Surat par aapki fida ho kar,
humne aaapki tasvir banwai hai,
Ghar ko hamare nazar na lagey is liye,
Woh tasvir bahar gate par tangwai hai.

_______________________________

Jab Jab gire Baadal,
Teri Yaad aayi
Jhoom ke barsa Saawan,
Teri Yaad aayi
Bheega main, lekin phir bhi teri Yaad aayi
Kyon na aaye teri yaad?
Tune jo chatri ab tak nahi lautai…
_______________________________

Roshni agar rab ko ho manzoor,
To andhiyo me bhi chiraag jalte hai,
Roshni agar rab ko ho manzoor,
to andhiyo me bhi chiraag jalte hai,
chal-chal re naujawan bijli ka bill bharne chalte hai………
_______________________________

Haqeeqat samjho ya fasana,
Apna samjho ya begana,
Suno dil ka afsana,
Ki garmi bahut hain,
Din mein teen baar nahana….

_______________________________

Ladkiyon ke college me strike thi,
Ladke bhi unke saath the
..Ladkiyon ne naara lagaya.
..HUMARI MAANGE
Pichhe se awaaz aayi SINDHUR SE BHARO�.
______________________________

Apni dosti ki gaadi kuch iss kadar chal padi
jaise kick maarte hi bike udd padi
dua hai na lage isme koi break
speed itni ho ki na kar sake koi isse overtake
_______________________________

Hasino ne hasin bankar gunah kardiya,
Auro ko thik hamko bhi barbad kar diya ,
Isbarbadi ki hamne gazal banadi ,
Auro ne to thik unhone bhi wahh wahh kardiya
_______________________________

Ansoo tere nikale to aankhein meri ho,
Dil tera dhadke to dhadkan meri ho,
Khuda kare ki apni dosti itni gehari ho,
Baap tu bane to Mehanat meri ho!
_______________________________

Tera charcha hai har gali mein,
har ladki ko tera intezaar hai,
Yeh koi chamatkar nahi,
aaj Rakhi ka tyohar hai.
_______________________________

Rok lo, rok lo mera janaaza
Ki meri jaan aa gayi hai
Peeche mud kar dekho bhaiyo
Sharaab ki dukaan aa gayi hai
_______________________________

Hum tumhein pyaar karte hain DEEWANO ki tarah
Tum hame apnaao apno ki tarah
Agar tumne diya mujhe dhokha kabhi
To main tumhein phod doonga naariyal ki tarah
_______________________________

Ye to aajkal ka fashion hai
Har din nayi se dil lagate hain
Jaane kis mitti ke bane hain
Sudharte nahi itni maar khaate hain
_______________________________

Main aisa MSG hu jise murkh log padte hai,
nalayak log dusro ko forward karte hai,
gadhe delete karte hai aur pagal store kar lete hai.
Aap kya karne wale hai 🙂
_______________________________

Najre Jhuki to Paimane bane,
Dil tute to Maikhane bane,
Kuch to jaroor khas hai aap mein..
Hum yoon hi nahi aapke Deewane Bane…!!!

Huge collection of Shairi, Ghalib, Faiz Ahmad Faiz, Ahmad faraz, Perveen Shakir, and many more…

Allama Muhammad Iqbal: A Poet and Reformer of Islam
Muhammad Iqbal (ca. 1877-1938) was an Indian Moslem poet and political philosopher. His fame rests on both his poetry and his formulation of ideas that were influential in the creation of Pakistan. Muhammad Iqbal was born in Sialkot, Punjab.

Ahmed Faraz (late) -Poetry Collection:

For More Poetry Visit:

http://urdu-mag.com/urdu/urdu-poetry.htm


Share:

 


About Urdu Magazine

Urdu Magazine Blog is one of the favorite magazine in India and Pakistan, In this Magazine you can find arabic mehndi designs, bridal mehndi designs, mehndi designs, urdu poetry, faraz poetry, wasi shah poetry, Urdu Recipes, Pakistani / Indian Recipies, Urdu Jokes, Women Fashion, Jewelry, Muslims Babies Names, Indian - Pakistan Mehndi / Hina Designs and much more you wants.

Banners





Arabic Mehndi Design

make-money-from-your-blog-o

seo-tips-and-tricks

Watch Live TV Channels

Watch Live TV Channels

Love Heart Wallpapers Beautiful Stylish and Creative High Resolution Wallpapers Extremely Creative Photos Hilarious Print Advertisement Free PSD File Business Card Designs Creative Poster Typography Design jQuery Plugins Illustration Art Logo Designs Free fonts Vector Graphics Movie Posters Free Icons