Faraz dil ko nigahon se ikhtlaaf raha,
Wagarna sheher mein hum-shakal soortain theen bohat.
Wah kya kehna
sana
Shab-e-Firaaq Tou Kat’ti Nazar Nahi Aati,
Khayaal-e-Yaar Mein Aao Faraz So Jayein…
Dunya mein mat dhoond naam-e- wafa
“faraz”
Dilon se khelte hein log bana ke humsafar apna….
:
Usay keh do wo mera hy
begunah ho nahi sakta
bhot nayaab hy us jesa
zamana ho nahi sakta
tumharay saath jo guzra
wo mousam yaad aata hy
tumharay baad koi mousam
suhana ho nahi sakta
chupanay se nahi chupta
dikhaway se nahi dikhta
ye Atish e ishq hy is me
bahana ho nahi sakta
tu dil pe naqsh ho jaye
nigahon me sama jaye
k is dil me kisi ka phir se
aana ho nahi sakta
bhot hen chahne walay
tere hum ne suna hy
koi bhi dosra hum sa
dewana ho nahi sakta . .
December 17, 2011 at 7:07 pm
*
Mar gaya wo shakhas jis ka tum poochtay ho
faraz
kisi ki yaad ne usay zinda jala diya.
*